Monday, July 21, 2008

A Really Cool Poem by Vaibhav Gupta

My Class XII-B


Padhaku 12-B me aap ka swagat hai,

jhan andar aate hi shock lagana swabhawik hai,

masti aur shararat bhari class hamari ,

pade sab teachers par bhari,

Mathew aur pulkit hai MVP's hamare,

Basketball me sabki vaat laga dein

Piyush hai class ka tiffin chor,

basketball me dhyan aur class me kare shor,

har waqt 3 ptrs marne ki koshish kare,

gayi to "me lebron james" nahi to "kya karoon yaar hava chale"

mridul to hai computer genius ,

par pratik ko satata hai C++

abimanyu aur abhishek hai simple guys,

break me lunch, class me neend aur pass ho jaye,

vidit ka class mein dil nahi lagata,

aur divanshu shaitani karte nahi thakta.


Mayank kare seriously padhai,

aur "word power"mein kare dictionary par ladai,

Vaibhav kapoor ,divanshu kakad aur jordy hai English period ki jaan,

apni shararaton se mam ko bhi hasa dena hai inke liye aasan,

pura period haste khelte nikal jata hai,

yaar eng period din me char baar kyon nahi aata ?

Devesh class me chup chaap pade,

aur mam ke jaate hi uska goonda raj sab par lage

mudit aur ankit chup chup rehetein hain,

lekin kya karien, bechare front seat par jo bethein hain,

sam aur main hain good friends,

aur Nishant ,ahem, No Comments…….

Tapas, aur aayush hai the tech dudes

par period ke hisaab se badle inke moods,

Bechare arpit ka lunch sab kha jate hai,

phir haddi khe kar chidate hai.


Tasha ke liye padna hai zaroori ,

kyon ki first aana hai uski majboori

par ab wo sudhar rahi hai ,

aaj kal class mein wo bhi masti kar rahi hai,

anumeha aur sonakshi hain "angry young girls "class ki,

padhai ke time padhai, aur masti ke time masti,

kriti hai simple girl ,seriously padhe aur sabki help kare ,

Ravisha hai prefect, rules ki pakki,

Swati ka hai cool attitude, par gusse me sulky,

Anukampa hai singer awesome,

Karishma aur uske jokes ke sitam.


Sanjoli class me kam hi dikhti hai,

ghar par reh kar concentration ke saath padhti hai,

Charu bechari ban gayi Headgirl

lakh mana kiya, par usne li musibat mol.


Ab aati hai hamari teachers ki bari,

jo hamara sudhaar karte karte haari.


Rakhi mam ne class ka potential dekha aur class teacher ban gayi,

par potential kab kinetic ho gaya wo samajh hi nahi payi,

Ratna mam ne kiye ham par kaeen confirmatory test,

diye hamne apne results best,

Veerapan sir ne hamari complex eqn. ko simplfy kara,

Pura saal mazze me Bindass hokar hamne maths padha,

Sharda mam bani hamari new english teacher,

hamari harkatoon ke baad bhi padha pana hai unka exclusive feature

Uheen haste khelte din nikal jata hai,

par jane kahaan se dil ka raaz alphas ban kagaz par utar jata hai.


Ab aati hai meri bari, par, ab main apni taareef kya karoon,

chalo ab chaar linein to kehata hi chaloon,

simple aur cool hai personality hamari,

science ke chakkar me pad gayi kismet bechari;

class me deta pura dhyan,

ab mam se bach kar class me hangman khelna thori na hai asaan?

zindagi ke usoolon ka paka hoon,

weekends pe 5 baje ka alarm laga ke hamesha 10 baje udhta hoon,

jaane kyon log ham par padhako hone ka ilzaam lagate hai,

aakhir playground ke designs bhi to ham hi banate hai

Tou fir hamse milne zaroor aana,

koi bhi bata dega meri dhamakedar class ka thikana.

3 comments:

Anonymous said...

Classy.

Altough i didnt exactly like what ive been "poemed" about . . . i do like the misspeling of Sanjoli's name . . . reminds me of Angelina Jolie.

cheers.

P.S : Hey mayank, why dont you publish your poem here too ???

Mayhem said...

Fine Bro! I dont think that it is a good idea but since you are asking for it....... I'll put it here asap.

VIDIT said...

yar is poem mere bare me jo likha hai wo to ab badal gaya........

ask vaibhav to edit that line..
he he

vidit